Kaddu ki dish, magar sabzi nahin, balki meetha. Ye hamare
Shimla mein dhaam mein banaya jaata hai. Dhaam matlab aas-paas gaanvon mein jab koi
function hota hai, ya simply kahein ki jab koi khaane wane ki party hoti hai to use hum dhaam
kahte hain. Aur kaddu ka meetha dhaam ki specialty hai.